Thursday, September 5, 2013

Modi Bhakton ko arpit do chaupayi...

  • Modi Bhakton ko arpit do chaupayi.....

    Bidi Chhap chalisa likho vaivahik Brahmcharya ka !!!
    Modi ke bhakton ne unko di rutba Aishvarya ka !!!
    Bankar wo Bhagwan kiye hain Iksha ab Pradhan banien !!!...
    Kash ! koyi unse ye kahta ,Pahle wo insaan banien !!!!

    *****************************

    Kal tak jiska Rama Tha Modi,Wah Modi Ka pyara tha !!!
    Maha kushal farzi muthbhed ka mahir jo Banjara tha !!!
    Jail se usne Khat likha hai, mujhko hi kyun Bandigrih !!!
    "Mere sath mein Shah bhi tha Aur Modi bhi hatyara tha !!!"

    kavi:---'Rasik' Bharti....

No comments:

Post a Comment